haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti tumhaari subh raushan raat nurani nahin hoti unhen hargiz nahin milti kabhi bhi ishq ki daulat wo jin se zindagi mein dost nadani nahin hoti hamari laj rakh li zindagi ki bhul ne warna hamari ishq ki duniya mein sultani nahin hoti dilon ko todne walo badha kar duriyan dekho mohabbat fasle rakh kar bhi begani nahin hoti mohabbat kis gali mein raqs karti kis pe itraati agar laila kisi majnun ki diwani nahin hoti qadam tapte hue sahraon pe rakkha hai majnun ne tabhi to ishq ki duniya mein virani nahin hoti kahan se akbar-e-azam ke gulshan mein bahaar aati agar chunari wo jodhabai ki dhani nahin hoti furui ishq ne 'maqsud' ruswa kar diya hota buzurgon ki nasihat tu ne jo mani nahin hoti