hayat di to use gham ka silsila bhi kiya qaza ke sath qadar ko meri saza bhi kiya usi ne dar-ba-dari ko nai talash bhi di bura to us ne kya hi magar bhala bhi kiya baghair mange hi dena hai shan-e-maulai mera waqar bhi rakkha mujhe ata bhi kiya tazad us ki mohabbat ka main hi jaanta hun jalaya dhup mein aanchal ka aasra bhi kiya ajib tarah ki hai shan-e-dilbari 'azar' ki mujh se khush bhi raha aur mujhe khafa bhi kiya