hayat-e-sokhta-saman ek istiara-e-sham chamak chamak ke bujha hai koi sitara-e-sham kisi ko faeda-e-sham-e-khush-khisal mila kisi ke hisse mein likkha gaya khasara-e-sham bujha rahe hain charag-e-shaguftagi-e-bahaar samajh chuke hain bahut hum bhi ye ishaara-e-sham isi qadar hai hayat-o-ajal ke bich ka farq ye ek dhup ka dariya wo ek kinara-e-sham junun ki bazm saji hai isi ke sae mein ki hum to girne nahin denge ye manara-e-sham