hayat-o-maut ka ek silsila hai mohabbat intiha tak ibtida hai main kya jaanun ki bab-e-tauba kya hai abhi to mai-kade ka dar khula hai zara phir dil pe nazren dal dije charagh-e-arzu khamosh sa hai ata kar di tumhaari aarzu ne wo ek duniya jo duniya se juda hai hasin hon lakh duniya ke manazir wo kya dekhe jo tum ko dekhta hai nazar ke sath nazzara bhi gum hai dil-e-muztar ye kis ka samna hai mere dil ko na rakh be-rang saqi ki har saghar gulabi ho raha hai na dozakh hai na jannat hai to 'basit' mere aamal-e-gham ka kya sila hai