hazar maslahat-e-waqt sath sath rahi junun ke samne bazi khirad ki mat rahi jahan bhi main ne imarat ka ehtiram kiya wahin pe ruth ke mujh se meri hayat rahi teri nigah-e-karam par yaqin kya aaya fareb-e-husn mein ye sari kaenat rahi wo ek kali ne chatak kar chaman ko samjha di jo baat-chit sitaron se sari raat rahi khirad ne lakh dikhain wafa ki taswiren meri nigah magar jaanib-e-furaat rahi wo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehrab gharaz ki ho ke mohabbat ki wardat rahi ye apne apne samajhne ka farq hai 'raje' kahan nigah-e-karam nazr-e-iltifat rahi