hazar rang jalal-o-jamal ke dekhe wo marke tere husn-e-khayal ke dekhe samajh mein aane laga maqsad-e-hayat-o-mamat wo zawiye tere hijr o visal ke dekhe har ek gham hai tar-o-taza pahle din ki tarah amanaten koi yun bhi sambhaal ke dekhe faza na bujhne lage is khayal se akasr dil o nigah ke raste ujal ke dekhe nagar bhi aur khandar bhi nazar mein rahte hain ajib daur uruj-o-zawal ke dekhe ki rashk aane laga apni be-kamali par kamal aise bhi ahl-e-kamal ke dekhe na chashm ishaare se waqif na lab ka harf se rabt kuchh aise silsile bhi qil-o-qal ke dekhe zamin zamin na rahi aur falak falak na raha kuchh aise marhale bhi arz-e-haal ke dekhe koi sadi bhi hai pal aur koi pal bhi sadi kuchh aise fasle bhi mah-o-sal ke dekhe hui zamin kabhi rakh to kabhi gharqab kuchh aise hausle bhi barshgal ke dekhe ajib shart hai in manzaron ki ai 'ruhi' ki apni aankhen koi khud nikal ke dekhe