hijr-mausam tha satati rahi tanhai hamein chhat pe tara bhi jo tuta to sada aai hamein qahqaha-zar fazaon mein ajab bhid si thi ghar ka mahaul jo dekha to hansi aai hamein hum sarabon ke musafir the magar jaante the kis ke dam par na daraati rahi purwai hamein chhanw ne aabla-pai ke siwa kuchh na diya dhup deti rahi ehsas-e-tawanai hamein hum ko to daldali samton ka bhi andaza tha ret dariya ki bhi malum thi gahrai hamein 'rind' khamosh si yalghaar thi chaurahe par kanch ke ghar se jo bazar mein le aai hamein