hijr mein jab khayal-e-yar aaya lab pe nala hazar bar aaya phir safai ki kaun si surat aap ke dil mein jab ghubar aaya kijiye zabah khinchiye khanjar lijiye ye gunahgar aaya bole thukra ke mere marqad ko ab tujhe kis tarah qarar aaya tu ne hasil 'nasim' kuchh na kiya kuchh bhi tujh ko na mere yar aaya