hijr-o-visal-e-yar ka parda uTha diya

hijr-o-visal-e-yar ka parda utha diya
khud badh ke ishq ne mujhe mera pata diya
gard-o-ghubar-e-hasti-e-fani uda diya
ai kimiya-e-ishq mujhe kya bana diya
wo samne hai aur nazar se chhupa diya
ai ishq-e-be-hijab mujhe kya dikha diya
wo shan-e-khamushi ki bahaaren hain muntazir
wo rang-e-guftugu ki gulistan bana diya
dam le rahi thin husn ki jab sehr-kariyan
in waqfa-ha-e-kufr ko iman bana diya
malum kuchh mujhi ko hain un ki rawaniyan
jin qatra-ha-e-ashk ko dariya bana daya
ek barq-e-be-qarar thi tamkin-e-husn bhi
jis waqt ishq ko gham-e-sabr-azma diya
saqi mujhe bhi yaad hain wo tishna-kaamiyan
jin ko harif-e-saghar-o-mina bana diya
malum hai haqiqat-e-gham-ha-e-rozgar
duniya ko tere dard ne duniya bana diya
ai shokhi-e-nigah-e-karam muddaton ke baad
khwab-e-giran-e-gham se mujhe kyun jaga diya
kuchh shorishen taghaful-e-pinhan mein thin jinhen
hangama-zar-e-hashr-e-tamanna bana diya
badhta hi ja raha hai jamal-e-nazar-fareb
husn-e-nazar ko husn-e-khud-ara bana diya
phir dekhna nigah ladi kis se ishq ki
gar husn ne hijab-e-taghaful utha diya
jab khun ho chuka dil-e-hasti-e-etibar
kuchh dard bach rahe jinhen insan bana diya
gum-karda-e-wafur-e-gham-e-intizar hun
tu kya chhupa ki mujh ko mujhi se chhupa diya
raat ab harif-e-subh-e-qayamat hi kyun na ho
jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jaga diya
ab main hun aur lutf-o-karam ke takallufat
ye kyun hijab-e-ranjish-e-be-ja bana diya
thi yun to sham-e-hijr magar pichhli raat ko
wo dard utha 'firaq' ki main muskura diya
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close