hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin

hijr taqdir nahin wasl ka wada bhi nahin
hum ne khoya bhi nahin aap ko paya bhi nahin

ab wo virani wo tanhai wo gumnami hai
ab koi mujh se hai wabasta tamasha bhi nahin

kabhi muskae kabhi roe teri yaadon mein
bin tere main ne koi lamha guzara bhi nahin

wo na jaane kyon mohabbat ka guman rakhne laga
meri jaanib se abhi aisa ishaara bhi nahin

khud ko diwana mera sab ko batata hai magar
mera diwana mere nakhre uthata bhi nahin

meri tanhai mujhe aur dikhaegi bhi kya
ab mere aasman mein ek sitara bhi nahin

dub jaana hi muqaddar hua jata hai kya
ab mayassar mujhe tinke ka sahaara bhi nahin

chaaragar phir tu bane kyon hai masiha sab ka
mere zakhmon ka tere pas mudawa bhi nahin

dil ke sahra ko 'ananya' jo banae gulshan
khushk aankhon mein wo shadab nazara bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close