hijrat karo to rishta-o-saman chhod kar warna na jao tum kabhi maidan chhod kar yun to ladai jhagde ki aadat nahin mujhe phir bhi ghalat kiya tha gareban chhod kar ab koi milne-julne ko aata nahin hai ghar main bhi hun band kamre mein dalan chhod kar achchhe bure se pak yahan koi shai nahin tum faeda gina karo nuqsan chhod kar khushbu bikherna meri fitrat hai dosto khushbu bikherta hun main gul-dan chhod kar