hindu hai sikh hai muslim hai isai hai jo bhi hai wo watan ka nigahban hai ye na dekho ki wo kaam karta hai kya kaam kuchh bhi kare aakhir insan hai ye chhua chhut hai dushmani ka sabab ham-watan hain to phir hai ye tafriq kyun ek barahman hai aur ek janjat hai wo bhi insan hai wo bhi insan hai hadi-e-din jitne bhi aae yahan sari duniya ko un ka ye paigham tha nahin insaniyat jis mein insan nahin jis mein insaniyat hai wo insan hai krishn aae yahan aae munji yahan nanak aae yahan aae rusul-e-khuda sabhi ek dusre se mohabbat karen sari duniya ko un ka ye farman hai ye chhua-chhut hai asl mein pur-khatar is ka apne watan par hua ye asar lakhon mare gae sirf is baat par jis ne aisa kiya hai wo nadan hai ye mazahib to apni jagah hain magar ai 'nahif' is se insan hai be-khabar tu hai insan insan se pyar kar yahi insan sachche ki pahchan hai