ho kash wafa wada-e-farda-e-qayamat aaegi magar dekhiye kab aae qayamat sunta hun ki hangama-e-didar bhi hoga ek aur qayamat hai ye baala-e-qayamat hum dil ko in alfaz se karte hain mukhatab ai jalwa-gah-e-anjuman-ara-e-qayamat allah bachae gham-e-furqat wo bala hai munkir ki nigahon pe bhi chha jae qayamat 'fani' ye magar rah-e-mohabbat ki zamin hai har zarre mein hai wusat-e-sahra-e-qayamat