hosh apna hai na us ki kuchh khabar mushkil mein hun kya kahun ai nama-bar main kis qadar mushkil mein hun ghar se bahar bhi taaqub mein ajab ek khauf hai daudte hain katne ko baam-o-dar mushkil mein hun ye akela-pan jo mera hamdam-o-dam-saz tha wo bhi sath apne utha laya hai dar mushkil mein hun ho gae bazar viran bagh khali ho gae bujh gaya sab shauq ka shoala sharar mushkil mein hun sakht mushkil mein pade hain kaise kaise ba-kamal kab 'niyazat' main akela be-hunar mushkil mein hun