hosh baqi na raha hath se iman gaya jo gaya bazm se teri wo pareshan gaya un se dil mil gaya ulfat ka maza jaan gaya wo mujhe achchhi tarah main unhen pahchan gaya jin ke dam se thi bahaar uth gae wo ahl-e-chaman dil ke bahlane ka ab aakhiri saman gaya aarzu did ki puri na hui ta-dam-e-marg tera aashiq tere kuche se pur-arman gaya hum tadapte rahe aur aap ne puchha bhi nahin qasmen kya ho gain wo sab kahan arman gaya aisa naraaz hua khwab mein bhi aata nahin baat karne ka bhi us but se ab imkan gaya sar teri nazr kiya ho gai takmil-e-wafa ai sitamgar mere sar se tera ehsan gaya zer-e-turbat bhi tadapti rahi meri mayyat dil se mere na tere ishq ka tufan gaya panw shal ho gae lekin na pata tera mila justuju mein teri main ta-had-e-imkan gaya zikr wade ka zaban par jo 'faza' ki aaya baat itni si thi lekin wo bura man gaya