hota agar dabiz junun-e-safar ka rang khud hi utarne lagta rah-e-pur-khatar ka rang suraj ghurub hote hue mujh se kah gaya kuchh to bata ki kaisa hai khun-e-jigar ka rang ai ahliyan-e-amn-o-akhuwat main kya kahun kis darja surkh hai tere diwar-o-dar ka rang mana ki lab khamosh the aankhen to chup na thin sab raaz fash kar gaya teri nazar ka rang han ai amir-e-shahr zara aankh to mila tujh ko bataun kya hai rukh-e-mo'atabar ka rang main aasman odh ke soya raha 'saba' ghurbat pe meri hansta raha shab qamar ka rang