hoti nahin rasai-e-barq-e-tapan kahan ai ham-nashin banaiye ab aashiyan kahan thahre misal teri gul-e-arghawan kahan ai mah-jabin zamin kahan aasman kahan chhana kiya main khak-e-do-alam tamam umr apni talash le gai mujh ko kahan kahan chhutta hujum-e-gham se mera sath kis tarah jata bichhad ke mujh se mera karwan kahan mahdud jin ki dair-o-haram tak thi justuju hota nasib un ko tera aastan kahan har manzil-e-hayat ki had par ho chuki le jaegi ab aur ai umr-e-rawan kahan sayyaad ne bhi mujh ko riha kar diya 'jalis' qismat mein ab qafas bhi nahin aashiyan kahan