hua jo waqf-e-gham wo dil kisi ka ho nahin sakta tumhaara ban nahin sakta hamara ho nahin sakta suna pahle to khwab-e-wasl phir irshad farmaya tere ruswa kiye se koi ruswa ho nahin sakta lagawat us ki nazron mein banawat us ki baaton mein sahaara mit nahin sakta bharosa ho nahin sakta tamanna mein teri mit jae dil han ye to mumkin hai mere dil se mite teri tamanna ho nahin sakta na fursat hai na rahat hai na 'bekhud' wo tabiat hai ghazal kya khak likkhen sher achchha ho nahin sakta