hue jo panw se mazur hum jabin se chale

hue jo panw se mazur hum jabin se chale
junun-e-shauq mein ye silsile hamin se chale

hamara sar hi hamesha nishana banta hai
kisi bhi samt se patthar chale kahin se chale

khule tariqe se hum par chale nahin khanjar
agar chale bhi to yaron ki aastin se chale

zara bhi dosh nahin is mein aasmanon ka
bagule fitnon ke jab bhi chale zamin se chale

faraaz-e-dar ki azmat mein kuchh kalam nahin
buland-bakhti ke sab silsile yahin se chale

ye pesh-raft ki hai shart-e-awwalin 'mansha'
ki chalne wala atal azm-e-pur-yaqin se chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close