hue na aandhi ke aage jo sar-KHamida shajar

hue na aandhi ke aage jo sar-khamida shajar
so lag rahe hain hamein apne ham-'aqida shajar

bichhad ke tujh se bade zabt se main chal to pada
magar rula gae raste ke aabdida shajar

ai belo tum ko nahin khauf tum to panw mein ho
ukhade jaenge khuddar chida chida shajar

saja liye nae gamle alag alag sab ne
akela rah gaya gulshan mein sin-rasida shajar

hamesha shahr se dhutkare jaane walon ko
gale lagate hain jangal ke barguzida shajar

hamare zikr pe kahte hain yun parinde ab
'nabil' kaun wahi na khizan-rasida shajar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close