hui sar-gashta KHak apni ghubar-e-karwan ho kar

hui sar-gashta khak apni ghubar-e-karwan ho kar
mujhe qismat satati hai raqib-e-kaamran ho kar

dil-e-pazh-murda aashiq ko tum apne samne rakhna
tamasha raqs-e-bismil ka dikhaega tapan ho kar

hamare is dil-e-viran-shuda mein ai but-e-raana
tumhaari aarzu ghabra rahi hai mehman ho kar

udaya tezi-e-baad-e-saba ne gar to gham kya hai
ghubar apna bulandi par rahega aasman ho kar

mere dil ki imarat go shikasta haal hai lekin
makan-e-khas ho jaega us ka la-makan ho kar

anis-o-monis-o-hamdam umiden ho nahin saktin
kahan jata hai ai dil yusuf-e-be-karwan ho kar

karen kya guftugu aankhen mila kar un raqibon se
tumhaari bazm mein but ban gae hain be-zaban ho kar

hamare dida-e-hairat-zad mein khwab kya aae
ki teri aarzu baithi hai is mein pasban ho kar

lagana war halka qatl-gah mein mujh pe ai qatil
ki lutf raqs-e-bismil main dikhaun nim-jaan ho kar

meri kahidgi aur na-tawani puchhte kya ho
gham-e-hijran dabaata hai mujhe bar-e-garan ho kar

khuda ke fazl se is bostan-e-nat-e-midhat mein
'jamila' naghma-zan hai bulbul-e-khush-dastan ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close