hujum-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanha nafas nafas hai muhajir nazar nazar tanha ye mera aks hai aaine mein ki dushman hai udas tishna-e-sitam dida-e-be-khabr tanha ye qatl-gah bhi hai baal-pan ka aangan bhi bhatak rahi hai jahan chashm-e-mo'atabar tanha bura na man mere ham-safar khuda ke liye chalunga main bhi isi rah par magar tanha na jaane bhigi hain palken ye kyun dam-e-rukhsat ki ghar mein bhi to raha hun main umr-bhar tanha na bazm-e-khalwatiyan hai na hashr-e-gah-e-awam andheri raat karun kis tarah basar tanha kisi ghazal ka koi sher gungunate chalen tawil rahen wafa ki hain aur safar tanha nisar kar dun ye palkon pe kanpti yaaden tera khayal jo aae dam-e-sahar tanha jidhar bhi jao koi rah rok leta hai wafa ne chhodi nahin ek bhi dagar tanha barat lo yaro baratne ki chiz hai ye hayat ho lakh tarsi hui talkh-e-mukhtasar tanha umid kitni hi mayusiyon ki mashal hai ho rahguzar mein jaise koi shajar tanha jidhar se guzre the masum hasraton ke julus suna ki aaj hai 'zaidi' wahi dagar tanha