hum aise sar-phire duniya ko kab darkar hote hain agar hote bhi hain be-intiha dushwar hote hain khamoshi kah rahi hai ab ye do-aba rawan hoga hawa chup ho to barish ke shadid aasar hote hain zara si baat hai is ka tamasha kya banaen hum irade tutte hain hausle mismar hote hain shikayat zindagi se kyun karen hum khud hi tham jaen jo kam-raftar hote hain wo kam-raftar hote hain gale mein zindagi ke risman-e-waqt hai to kya parinde qaid mein hon to bahut hoshiyar hote hain jahan wale muqayyad hain abhi tak ahd-e-tifli mein yahan ab bhi khilaune raunaq-e-bazar hote hain gulu-e-khushk un ko bhejta hai de ke mashkiza kuchh aansu tishna-kaamon ke alam-bardar hote hain badan un ko kabhi bahar nikalne hi nahin deta 'qamar-abbas' to ba-qaeda tayyar hote hain