hum ajab silsila-e-sair-o-safar rakhte hain har qadam ek nai rahguzar rakhte hain zad pe tufan ke kaghaz ka nagar rakhte hain lakh sailab-e-hawadis ho magar rakhte hain is ke ba-wasf ki har samt andhera hai muhit hum hain wo log jo ummid-e-sahar rakhte hain teri baaten teri yaaden tere rangin khutut apne hamrah yahi zad-e-safar rakhte hain hum khatawar-e-zamana hain farishte to nahin hain ziyan-kar ki ausaf-e-bashar rakhte hain dil ke juzdan mein ek nam saja hai 'nasir' hum kisi haal mein hon us ki khabar rakhte hain