hum apne nam se hargiz kahin jaane nahin jate

hum apne nam se hargiz kahin jaane nahin jate
tumhaara nam na lete to pahchane nahin jate

kabhi jo bhule bhatke se bhi maikhane nahin jate
ye na samjho ki un ke pas paimane nahin jate

kisi ke dil mein kya hai mathe pe likkha nahin hota
ki apne log bhi to hum se pahchane nahin jate

andhere rahbari karte hain parwanon ki shama tak
ki din mein shama ke nazdik parwane nahin jate

mere pa-e-talab mujh ko tumhaare dar pe le aae
kisi aur dar pe ab hum hath phailane nahin jate

unhen chugne ko ud kar dur tak jaana hi padta hai
kisi bhi ghonsle mein khud-ba-khud dane nahin jate

hamari manzil-e-maqsud to hai qabr se aage
wahan tak bhi hamein ye log pahunchane nahin jate

mere pur-soz naghme tarjumani hain mohabbat ki
hum un ki bazm mein yun hi ghazal gane nahin jate

kabhi jab zakhm lagte hain to kante chutki bharte hain
gulon ke gul-numa khanjar to pahchane nahin jate

hasinon ki numaish mein mohabbat to nahin dikhti
ye pahchane to jate hain magar jaane nahin jate

mohabbat ke pujari apni puja aise karte hain
sanam-khane chale jate hain but-khane nahin jate

kai raaz-e-mohabbat dil mein poshida hi rahte hain
ye gauhar jauhari se bhi to pahchane nahin jate

nichhawar jaan karne ko ye 'sahil' us pe jate hain
ki jalne ke liye shama pe parwane nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close