hum bhi guzar gae yahan kuchh pal guzar ke raaten thin qarz ki yahan din the udhaar ke jaise purana haar tha rishta tera mera achchha kiya jo rakh diya tu ne utar ke dil mein hazar dard hon aansu chhupa ke rakh koi to karobar ho bin ishtihaar ke kya jaane ab bhi dard ko kyun hai meri talash tukde bhi ab kahan bache is ke shikar ke shayad zaban pe qarz tha hum ne chuka diya khamosh ho gae hain tujhe hum pukar ke aise sulag utha teri yaadon se dil mera jaise dhadhak uthen kahin jangal chinar ke