hum hain ai yar chadhae hue paimana-e-ishq tere matwale hain mashhur hain mastana-e-ishq dushmanon mein bhi raha rabt-e-mohabbat barson khush na aaya kasi mashuq ko yarana-e-ishq mujh ko jo chah mohabbat ki hai majnun ko kahan us ko laila hi ka sauda hai main diwana-e-ishq jaan lenge ki wo dil lenge jinhen chaha hai dekhiye karte hain kya aa ke wo jurmana-e-ishq ja-ba-ja chahne walon ka jo majma dekha kucha-e-yar ko samjha main jilau-khana-e-ishq sal-ha-sal se khush-bash jo hun sahra mein aalam-e-hu ko samajhta hun main virana-e-ishq dil pisa chahta hai ja ke hina par us ki khirman-e-husn hua chahta hai dana-e-ishq dil ka hai qasd teri bazm mein ad kar jaun kya hi be-par ki udata hai ye parwana-e-ishq har pari-zad ki hai jalwa-numa ek taswir shisha-e-dil hai hamara ki pari-khana-e-ishq dil mera khas makan hai jo teri ulfat ka kahti hai sari khudai ise kashana-e-ishq kaun kis ka shab-e-mearaj mein hoga mashuq ki hai kis shokh ne ye mahfil-e-shahana-e-ishq tu kare naz tujhe yar zamana chahe ta-abad ye rahe aabaad tera khana-e-ishq us pari-ru ne jo dekha mere dil ko sad-chaak apni zulfon mein kiya nam-e-hawa shana-e-ishq aalam-e-nur teri shakl ka parwana hai husn ki jaan hai tu aur hai jaanana-e-ishq sar-ba-kaf ganj-e-shahidan mein chale jate hain imtihan se nahin darte tere farzana-e-ishq naza mein sura-e-yusuf koi lillah padhe dam bhi nikle to marun sun ke main afsana-e-ishq dabdabain meri aankhen to wo kya kahte hain dekho labrez hain chhalkenge ye paimana-e-ishq ai 'sharaf' kaun mere dil ke muqabil hoga ek yahi sari khudai mein hai mardana-e-ishq