hum jo in hathon ko masruf-e-amal rakhte hain masale jo bhi hon khud samne hal rakhte hain apne hisse mein faqat bagh ki mehnat aai phul rakhte hain na hum pas mein phal rakhte hain din ko muflis hain to kya raat hai shahon jaisi hum bhi khwabon mein kai taj-mahal rakhte hain hum unhen dekh ke jite hain sitam to dekho jo hamein dekh ke peshani pe bal rakhte hain hum wahan dars-e-wafa den bhi to kya log jahan bughz sinon mein dimaghon mein khalal rakhte hain aap ke sheron mein 'farhat' gham-e-dauran kaisa ahl-e-fan aap se ummid-e-ghazal rakhte hain