hum kahan aur dil-e-kharab kahan ai shab-e-gham tera jawab kahan zindagi ke shuur se badh kar zindagi mein koi azab kahan koi chehra ho ghaur se padhiye is se jamea koi kitab kahan dard-o-gham ki udas aankhon mein aarzu ke hasin khwab kahan aao apni sahar se puchh to len chhod aai hai aaftab kahan ruh jab ho gai hai khud ghayal dil ke zakhmon ka phir hisab kahan dil dhadakte hain ab magar dil mein wo mahakte hue gulab kahan kya pata waqt ke andheron mein chhap gae fan ke mahtab kahan waqt thahra hua sa lagta hai ruk gaya aa ke inqalab kahan ai 'rais' aarzu ke chehre par ab wo agli si aab-o-tab kahan