hum ko khanjar se na talwar se dar lagta hai mere mahbub tere pyar se dar lagta hai khauf khate hain hukumat se zamane wale aur hukumat ko qalamkar se dar lagta hai kis ko mazlum bata de kise kah de zalim aaj ke daur ke akhbar se dar lagta hai ahmiyat jis ki nazar mein na ho sachchai ki us shahanshah ke darbar se dar lagta hai raaz ki baaten kahin aam na kar de koi ab to ghar ke dar-o-diwar se dar lagta hai