hum ko khayal-e-khidmat-e-ahl-e-jahan to hai taqat nahin hai panw mein munh mein zaban to hai mujh se koi ta'alluq-e-sud-o-ziyan to hai gar mehrban nahin hai wo na-mehrban to hai dushman agar hai sara zamana to khauf kya mera bhi is jahan mein koi pasban to hai jaane pe mere qaid nahin un ki bazm mein lekin mizaj-e-naz pe bar-e-garan to hai apnon se ghair achchha hai jo gham-gusar hai wo mera chaara-saz nahin meherban to hai sine mein kyon jalan si ye rahti hai raat-din mana ki dil mein aag nahin hai dhuan to hai pine do mujh ko aankhon se hi mai-kade mein aaj saghar nahin hai mai nahin pir-e-mughan to hai apne karam se wo jise chahe nawaz de jo be-amal hayat hai wo raegan to hai ye naqsh-e-pa hai rah-raw-e-rah-e-arsh ka ab rah-rau nahin hai magar kahkashan to hai manzil koi na samt koi hoga hashr kya ye kashti-e-hayat hamari rawan to hai jab sang-dil ke waste marna hai dub kar dariya agar nahin hai 'musawwir' kuan to hai