hum ko to gardish-e-haalat pe rona aaya rone wale tujhe kis baat pe rona aaya kaise jite hain ye kis tarah jiye jate hain ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi han mujhe talkhi-e-haalat pe rona aaya husn-e-maghrur ka ye rang bhi dekha aakhir aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aaya kaise mar mar ke guzari hai tumhein kya malum raat bhar taron bhari raat pe rona aaya kitne betab the rim-jhim mein piyenge lekin aai barsat to barsat pe rona aaya husn ne apni jafaon pe bahae aansu ishq ko apni shikayat pe rona aaya kitne anjaan hain kya sadgi se puchhte hain kahiye kya meri kisi baat pe rona aaya awwal awwal to bas ek aah nikal jati thi aakhir aakhir to mulaqat pe rona aaya 'saif' ye din to qayamat ki tarah guzra hai jaane kya baat thi har baat pe rona aaya