hum mai-kashon ke qadmon par akasr jhuk jhuk gae hain mehrab-o-mimbar sharmaega ab ta-hashr tufan tuti hui ek kashti dubo kar ab sham-e-hasrat lau de uthi hai ai sarsar-e-gham daman bacha kar aashuftagi ko nind aa chali hai barham na ho wo zulf-e-moambar kya ab bhi koi farda hai baqi kis soch mein ho ai ahl-e-mahshar kya tanz-e-dauran kya hur-e-khuban dil hi sitam-kash dil hi sitamgar chup hain 'rawish' ab arbab-e-danish the tanz kya kya ahl-e-junun par