hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat

hum mar gae pa shikwe ki munh par na aai baat
kyun be-zaban aashiqon ki aazmai baat

dawa-e-ishq karne ka kya munh kisi ka tha
kam bolne ne tere ye sari badhai baat

ham-peshgi ki mujh se kare guftugu raqib
munh us ka dekho hai ye tumhaari sikhai baat

sab kuchh padhaya hum ko murdarris ne ishq ke
milta hai jis se yar na aisi padhai baat

apna kise kahun na kahun kis ko hai ghazab
jis waqt munh se nikli hui phir parai baat

kya ghair ne kaha ki lage budbudane tum
main ne bhi chhedne ki nai ab to pai baat

mazkura kal ka jaane do ho jaoge khafa
thamti nahin zaban pe jis waqt aai baat

majnun ke nam se mera haal us ne tab suna
shukr-e-khuda ki khub ban aai banai baat

bulbul ka nala aage mere is tarah se hai
jis tarah shahriyon se kare rustai baat

taqrir-e-saf par jo 'raza' ki kare nazar
andhe ke tain ajab nahin dewe dikhai baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close