hum nin sajan suna hai us shokh ke dahan hai lekin kabhu na dekha kita hai aur kahan hai dhunda hazar to bhi tera nishan na paya lashkar mein gul-rukhan ke teri masal kahan hai ab tishnagi ka roza shayad khule hamara sham o shafaq sajan ka missi o rang-e-pan hai dil mein kiya hai dawa ankhiyan hui hain munkir teri kamar ka jhagda in do ke darmiyan hai rahta hun ai piyare qadmon tale tumhaare jis rah aawte ho aajiz ka whin makan hai tujh khatt-e-pusht-e-lab mein tis ka sukhan hua sabz us ki zaban dahan mein manind-e-barg-e-pan hai piri sin qad kaman hai har-chand 'abru' ka is naujawan ki khatir dil ab talak kashan hai