hum pi gae sab hile na ab tak ji haar gae nujum-e-shab tak har chand ghataen chhat gai hain par dil pe ghubar sa hai ab tak khush ho na zamana mere gham par aaega ye daur-e-jam sab tak ashkon ne fasana kar diya hai wo lafz ki aa saka na lab tak har gham ko uda diya hansi mein tum pesh-e-nazar rahe ho jab tak mai-khane mein sar chhupaen aao wa ho dar-e-kaba jaane kab tak 'shohrat' koi aur baat chhedo ulten wo naqab-e-lutf jab tak