hum shoala-ba-dast itni mohabbat se jale hain

hum shoala-ba-dast itni mohabbat se jale hain
jo dekhne wale the wo hasrat se jale hain

khushbu se jale hain kabhi surat se jale hain
bad-khwah hasad karne ki aadat se jale hain

jal jae jahan khun nahin khaulta un ka
hum barf-zada logon ki fitrat se jale hain

kab shoalagi lau dene se aai hai kabhi baz
ye husn-e-nazar wale inayat se jale hain

ek aag ke dariya ko bataya hai chaman-zar
hum dubne walon ki riayat se jale hain

kirdar pe aane hi nahin di hai kabhi aanch
kuchh log mohabbat mein mahaarat se jale hain

is aag mein rahat ke bhi saman hain 'jazib'
samjhaen bhi kaise ki zarurat se jale hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close