hum soz-e-dil bayan karen tum se kahan talak jalne lagi hai ab to hamari zaban talak kuchh be-kasi-e-rah-rau-e-gham na puchhiye milti nahin hai gard-e-rah-e-karwan talak sharma ke laut aae na jab kuchh asar hua nale hamare pahunche to the aasman talak ummid-e-baada kis ko hai khun-e-jigar piyo hai mohtasib ke rup mein pir-e-mughan talak raaz-o-niyaz-e-ishq ki kya ho khabar hamein hasil nahin hai did-e-rukh-e-mahwashan talak kis munh se hum bayan karen majra-e-dil un ko nahin pasand hai soz-e-nihan talak hum ko qafas hi ras hua barq ke tufail baqi nahin chaman mein raha aashiyan talak pa-e-zaif baad mein chahen to tut jaen pahuncha den ek bar to ku-e-butan talak shayad baqa-e-ishq isi shai ko kahte hain hum bhul baithe gham mein zaman-o-makan talak yaro hamari zist ka qissa hai mukhtasar mahdud hai hadis-e-gham-e-dil-baran talak mutlaq nahin hai 'kaif' ko dawa-e-jazb-e-dil maqdur is ka girya-o-ah-o-fughan talak