hum to yun KHush the ki ek tar gareban mein hai

hum to yun khush the ki ek tar gareban mein hai
kya khabar thi ki bahaar is ke bhi arman mein hai

ek zarb aur bhi ai zindagi-e-tesha-ba-dast
sans lene ki sakat ab bhi meri jaan mein hai

main tujhe kho ke bhi zinda hun ye dekha tu ne
kis qadar hausla haare hue insan mein hai

fasle qurb ke shoalon ko hawa dete hain
mein tere shahr se dur aur tu mere dhyan mein hai

sar-e-diwar farozan hai abhi ek charagh
ai nasim-e-sahari kuchh tere imkan mein hai

dil dhadakne ki sada aati hai gahe-gahe
jaise ab bhi teri aawaz mere kan mein hai

khilqat-e-shahr ke har zulm ke ba-wasf 'faraaz'
hae wo hath ki apne hi gareban mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close