hum un se mil ke unhi ke asar mein rahte hain safar se aa ke bhi jaise safar mein rahte hain wo qahqahe jinhen honton ka dar nasib nahin wo ashk ban ke meri chashm-e-tar mein rahte hain hamare ishq ke tohfe ko ehtiyat se rakh bahut se lautne wale nagar mein rahte hain bhulaega koi kaise karam rafiqon ke ye tir wo hain jo har-dam jigar mein rahte hain na man ka pyar mayassar na apne ghar ka sakun wo kaise log hain ja kar qatar mein rahte hain hasin misal hai baham nibah ki 'kawish' gulab jitne hain kanton ke ghar mein rahte hain