hum zamin-zadon ko aasman bana jaana pahle khak kar dena aur phir uda jaana jism se juda rahna ruh mein sama jaana koi aap se sikhe jaan par bana jaana be-shuur sathi ne sahilon ke basi ne hum ko sar-phira samjha dasht ki hawa jaana aur gar qarib aate naqsh aur dhundlate qurbaton ki duri ko tum ne fasla jaana be-zamir shahron ke be-zamir logon se jo bhi mil gaya hum ko wo teri ata jaana