humne aa kar jahan mein kya dekha

hum ne aa kar jahan mein kya dekha
us ki qudrat ko ja-ba-ja dekha

aur dekha to hum ne kya dekha
har taraf jalwa-e-khuda dekha

jis ghadi aap ko fana dekha
us ghadi khas muddaa dekha

nafi isbaat ko kiya qaem
aap se phir na haq juda dekha

zat-e-pak-e-janab-e-ahmad ko
mazhar-e-nur-e-kibriya dekha

dar nahin nar ka mujhe hargiz
main ne haidar sa peshwa dekha

koi farigh nahin hai duniya mein
sabhi ko is mein mubtala dekha

jo ki behosh ho ke baith rahe
un ko hushiyar ba-khuda dekha

ai tasawwur main tujh pe hun qurban
apne sine mein dilruba dekha

kufr-o-islam ho gae wazeh
zulf-o-rukh jabki yar ka dekha

chain dil ko nahin hai ai ‘be-gun’
jab se wo ru-e-pur-ziya dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close