humne khulne na diya be-sar-o-samani ko

hum ne khulne na diya be-sar-o-samani ko
kahan le jaen magar shahr ki virani ko

sirf guftar se zakhmon ka rafu chahte hain
ye siyasat hai to phir kya kahin nadani ko

koi taqsim nai kar ke chala jata hai
jo bhi aata hai mere ghar ki nigahbani ko

ab kahan jaun ki ghar mein bhi hun dushman apna
aur bahar mera dushman hai nigahbani ko

be-hisi wo hai ki karta nahin insan mahsus
apni hi ruh mein aai hui tughyani ko

aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai wahi
wahi sajda jo kare waqt ki sultani ko

aaj yusuf pe agar waqt ye lae ho to kya
kal tumhin takht bhi doge isi zindani ko

subh khalne ki ho ya sham bikhar jaane ki
hum ne khushbu hi kiya apni pareshani ko

wo bhi har-an naya meri mohabbat bhi nai
jalwa-e-husn kashish hai meri hairani ko

kuza-e-harf mein laya hun tumhaari khatir
ruh par utre hue ek ajab pani ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close