hum ne rakkha tha jise apni kahani mein kahin ab wo tahrir hai auraq-e-khizani mein kahin bas ye ek saat-e-hijran hai ki jati hi nahin koi thahra bhi hai is aalam-e-fani mein kahin jitna saman bhi ikattha kiya is ghar ke liye bhul jaenge use naql-e-makani mein kahin khair auron ka to kya zikr ki ab lagta hai tu bhi shamil hai mere ranj-e-zamani mein kahin chashm-e-namnak ko is darja haqarat se na dekh tujh ko mil jaana hai ek din isi pani mein kahin markaz-e-jaan to wahi tu hai magar tere siwa log hain aur bhi is yaad purani mein kahin jashn-e-matam bhi hai raunaq si tamashai ko koi naghma bhi hai is marsiya-khwani mein kahin aaj ke din mein kisi aur hi din ki hai jhalak sham hai aur hi is sham suhani mein kahin kya samajh aae kisi ko mujhe malum bhi hai baat kar jata hun main apni rawani mein kahin