hum ne sau sau tarah banai baat samne us ke ban na aai baat sach to kahta hai dost dushman hai hum ne naseh ki aazmai baat baat ke katne ka shikwa kya ho jahan qata aashnai baat wade par us se kyun qasam mange muft bigdi bani banai baat hum ko dushman se ho gai malum dost ne hum se jo chhupai baat kya shab-e-wasl ko ghatana hai gham hijran ki kyun badhai baat ye bhi un ke dahan ki khubi hai ki samajh mein meri na aai baat shahr se kyun karen wo azm-e-safar ham-nashin tu ne kya udai baat wan se ja kar khabar nahin laya hai kahin ki suni sunai baat bhed apnon se bhi na kah 'nazim' munh se nikli hui parai baat