hum ne to ujad aur basti dekhi duniya ki sabhi buland aur pasti dekhi surat pe khayal apni aaya jis dam yak lahza habab-war pasti dekhi kitnon ke maash ki durusti dekhi kitnon ki ba-khana faqa-masti dekhi duniya hai basan qahba khush-dil ghamgin roti hai kabhi kabhi to hansti dekhi jis dast ki main daraaz-dasti dekhi is dast ki aakhirash shikasti dekhi jis ne bastam kiya makan ko tamir diwar phir us makan ki khisakti dekhi ba-wasf ayan hai lek bazi khilqat is shokh ki did ko tarasti dekhi ye turfa hai majra ki kaba-e-dil mein 'afridi' ki hum ne but-parasti dekhi