hum ne yun parcham-e-mear utha rakkha hai kaghazi phulon se ghar apna saja rakkha hai sab pe chhaya hua hai roab sitamgari ka dil mein logon ne kahan khauf-e-khuda rakkha hai apna haq mangna kya jurm koi hai aakhir tum ne is baat pe kyon hashr utha rakkha hai wo jo ghafil hai yahan jazba-e-hamdardi se nam kyon us ka bhala ahl-e-wafa rakkha hai main tera zulm nahin bhula magar tere liye aaj bhi zehn ka darwaza khula rakkha hai jaanta hai wo meri izzat-o-tauqir hai kya jis ne neze pe mere sar ko utha rakkha hai tum ko malum hai kya apni haqiqat 'asrar' khud ko aaine se kyon tum ne bacha rakkha hai