husn aankhon mein rahe dil mein jawani to rahe zindagani tere hone ki nishani to rahe us ki khatir to gawara koi ban-bas bhi hai sab ke honton pe meri ram-kahani to rahe zabt mein ye bhi hai goyai ka apna andaz lab hon khamosh magar ashk-fishani to rahe gar ujalon se gurezan hai dhundlakon mein to aa din ba-har-taur kata sham suhani to rahe tu na shirin na main farhad magar yun to milen hum rahen ya na rahen apni kahani to rahe aao kuchh der karen pahle-pahal ki baaten yaad is pyar ki wo rasm purani to rahe teri aankhen to banen khushk jazire 'jafar' ye jo dariya hain to dariyaon mein pani to rahe