husn-e-fitrat ke amin qatil-e-kirdar na ban shohrat-e-gham ke liye raunaq-e-bazar na ban tarik-e-rasm-e-wafa aur gunahgar na ban mahram-e-ishq hai to mahram-e-asrar na ban apni gardan pe machalti hui talwar na ban nang-e-iman hi sahi surat-e-inkar na ban bad-gumani ko meri aur badha deta hai un ka ye kahna ki daman-kash-e-aghyar na ban rahraw-e-manzil-e-hasti hun main ai yaad-e-habib dhup mein mere liye saya-e-diwar na ban dil ko takmil-e-tamanna ka ishaara de kar mujh se tu meri tamanna ka kharidar na ban teri manzil hai ghubar-e-rah-arbab-e-wafa rahraw-e-rah-e-talab qafila-salar na ban jin ke daman mein tamanna ko sukun milta hai un ki nazron se mohabbat ka talabgar na ban wo teri mast-nigahi ka uda lenge mazaq ahl-e-danish mein kabhi bhul ke hoshiyar na ban ho na jae kahin masdud teri rah-e-talab ai meri lauh-e-jabin sang-e-dar-e-yar na ban