husn kab ishq ka mamnun-e-wafa hota hai lakh parwana mare shama pe kya hota hai shaghl-e-sayyaad yahi subh o masa hota hai qaid hota hai koi koi riha hota hai jab pata chalta hai khushbu ki wafadari ka phul jis waqt gulistan se juda hota hai zabt karta hun to ghutta hai qafas mein mera dam aah karta hun to sayyaad khafa hota hai khun hota hai sahar tak mere armanon ka sham-e-wada jo wo paband-e-hina hota hai chandni dekh ke yaad aate hain kya kya wo mujhe chand jab shab ko 'qamar' jalwa-numa hota hai
Please share if you liked this!!!